Bahot Yaad aata hai aaj OTA, Jahan ki hawa mein hi josh aur junoon bhare thhey, Jahan hum desh ke kone kone se aaye, aur mil Kar saath teen mahine bitaaye.. Jahan hum Apne trainee number se jaane jaate, aur NIAP mein nibhaaye apne kirdaar se… Koi manmohan sigh ke naam se mashhoor hua, toh koi Ramdev ke naam se…
Yaad hai aaj bhi vo roj subah rote hue jaldi uthna, aur Sunday ke aane Ka intejaar Karna.. Gande yoga mats par sardiyon ki baarish mein yoga Karna, Aur Drum beats par jor jor se paeron ko patakna.. Seediyon mein bhaagte hue kapde badalna, Aur Dus minute mein do floor chad Kar uniform badal Kar aa jaana.. Koi gir jaata toh koi thak jaata, Par fir bhi himmat koi Nahin haarta..
Left right left right karte hue parade ground mein pahunchte, Aur bhaag bhaag Kar Sir Manekshaw Hall mein… Kissi ki topi reh jaati, toh kissi ka trainee number… Koi galti se kisssi aur ki uniform utha le jaata Toh koi Jaan buujh Kar kissi ka camp stool maar leta, Koi kissi ka map lekar bhaag jaata Toh koi kisssi Ka yoga mat jabardasti hadap leta … Kissi ka ghutna tuut ta, toh kissi ka kandha.. Par haar koi Nahin manta..
Har vakt kissi na kissi line mein khade rehte, Kabhi bathroom ki, toh Kabhi khaane ki… Kabhi khan cha-cha ki, toh Kabhi stationery ki… Kabhi kapde dhone ki, toh Kabhi sukhaane ki … Kabhi roll call ki, toh Kabhi parade ki .. Kabhi sardi mein geele kapde pehen Kar kaam chala lete, toh Kabhi Raat ko bhuukhe so jaate Par Fir bhi josh kissi ke Kam nahin hote…
Taruna ma’am ki class mein sone se lekar, Atul sir ki class mein attentive hone tak, PDLS ki class mein bore hone se lekar, Shooting ki class mein target na dikhne tak, Peeche baith kar chup chaap khaane se lekar Map reading ki class mein Kuch na samajh aane tak, Fire fighting ki class mein jor se “aag aag” chillane se lekar, Sports class mein chori chippe parade practice Karne tak Yaad aata hai aaj bhi vo beetaya har pal…
Har vakt ek intejaar rehta, Sunday ko outpass par DC mall jaane Ka.. Aakhir hafte Bhar ke khaane Ka samman Jo laana tha.. Har vakt samay dhuundhte, apnon se phone par baat Karne Ka, Har roj koshish karte neend poori Karne Ka Har samay intejaar karte training poori hone Ka Passing out parade ke “Last step” se guzar Kar Ghar vaapis jaane Ka…
Yaad aata hai aaj vo, Santram sir ki “poor show, undisciplined course” vaali daant khaana Aur Sanjay Sir ke roj taane sunn na, Taruna ma’am ka hamein roj Raat 12 baje tak Ashoka Hall mein bevajah khade rakhna, Par Vidya ma’am Ka hamara honsla badana, GIC ma’ams Ka attitude dikhana, par Hansraj sir aur Rajpal sir Ka madad Karna.
Par dheere dheere sab badalne laga, Jaise hi vahan mumps faelne laga suspects ki quarantine shuru ho gayi, aur Najdeekiya dooriyon mein badal gayi… Har vakt gadde takiyon mein dhuup lagate, aur khidki darvaaze sanitise karte.. Roj kisssi ke rooms change hote, toh kisssi ke sitting plans.. Maano hamari Corona se ladne ki training vahin shuru ho gayi..
Fir Aaya vo pal jissne sab daala badal, Akhir hone thhey “course toppers” ke selection, Jisne Bana Diya hamare OTA ko maidane jung Koi course topper bann na Chahta, toh koi parade commander, Koi company banner uthana chahta, toh koi academics ki trophy.. Sahi galat Ka Kuch hisaab na Raha, Jeetne ki hodd ne sab jaayaz Kar Diya..
Ek dum hi Mera ‘course senior’ se sabke aankh ki kirkiri ban jaana, Sabka issi hodd mein lag jaana, ki aakhir 35 ko kaise harayein, Isske badte kadam kaise roken, kaise peeche dhakelein, Jhuuthe iljaamon se lekar, personal boycott karna Aakhir maksad tha kissi colonel ki biwi ko ‘course topper’ banana… vahan ki khamoshi mein bhi ek alag sa shor hone laga.. Kaun kab kisss ke peeche chaalein chal raha hai, yeh ehsaas hone laga..
Hairani hoti, kya ye vakayi vo shikshak Hain Jinke haathon mein maa baap apne bacchhon ko sompte hain, Jinhe khud hi sahi galat Ki samajh Nahin, Vo badalne chale hain duniya ki tasveer Jo khud doosron ke kandhe pe chad Kar aage badte Hain Vo sikhaate hain sach ki rah par kaise chalte Hain! Har din akele mein katne laga, har raat ro Kar, Yahi lagta, bahot galat Kiya aise logon ke beech aakar,
Fir achaanak kuch trainees Ka mere kandhe par haath rakhna, Mujhe gale laga Kar meri himmat badana, Tu galat Nahin, galat toh vo hain Jo tujhe samajhte Nahin… Sab jalte hain tujhse, kyunki sab mein teri jitni himmat aur kaabiliyat Nahin Par tuu na thakna, Tuu na darna, Kyunki tere jaisa yahan doosra koi nahin unke roop mein jaise swayam ishwar ne Mujhe bola, Tu badti chal kyunki rukna teri fitrat nahin
Jin Santram sir se sab darte thhey, Vo hi har hafte Mujhe kehte thhey, “35 good Josh” “iss Umar mein itni himmat dikhana har kissi ke bas ki baat Nahin” “Aap hamare role model ban Gaye Hain, kyunki OTA mein training karna koi mamuli baat Nahin” Unki baaton nein jaise jaadoo kar diya Sab Kuch bhula Kar fir josh Bhar diya Pagalon ki tarah kheli holi Aur jung ki tarah ki POP ki taiyaari…
Bahot Yaad aata hai aaj vo OTA, Jahan hum gaye thhey hanste hanste Par Aaye thhey rote rote, Na jaane apnon se milne ki khushi jyada thii Ya sabse bhichadne Ka gam.. Aakhir har pal humnein Saath jo beetaya tha, Camping mein khaana banana se lekar tents mein sone tak, Tests mein cheating se lekar, Medical room mein Saath jaane tak.. Kabhi na bhula paayenge vaapis na aane vaale vo pal…