HAVE ENOUGH COURAGE TO START AND ENOUGH HEART TO FINISH
Corona ke DO SAAL …..
Corona ke DO SAAL …..

Corona ke DO SAAL …..

Kabhi nahin socha tha duniya mein ek aisa vakt bhi aayega….

Jab hawa saaf hogi, par khulkar saans Lene ki ijaajat nahin hogi;
Jab aankhein bhari hui hongi, aur jebein khaali hongi;
Jab sadkein khaali hongi par ghuumne ki azaadi nahin hogi ..

Har taraf khamoshi, har taraf maayuusi;
Har sadak suuni, har bazaar khaali ;
Har zindagi maano ruki ruki sii …

Na janaaza uthaane ke liye chaar kandhe;
Na jashan manane ke liye chaar yaar …
Na subah hone ka josh, na raat hone ka intezar …

Jin doston se milte thhey Galle lag Kar;
Peeche hatt jaate thhey unhe dooor se aate dekh kar…
Jin noton ko samet te thhey bhag bhag Kar;

unhe choote thhey dar dar kar ….

Na jaane kitnon ne apnon ko kho diya, aur kitnon ka rojgaar choot gaya
kitnon ka maansik santulan bigad gaya aur kaun akela reh gaya
Na jaane kahan kho gaya vo bacchhon ka shor gull aur gayab ho gaya saara shaan aur shokat..

Par Kisse sunnate jaakar apni ye daastan
Har kissi ki bhi toh yahi thii dasha ..
Harr koi bhi toh issi kashm-e-kashh mein tha jee raha..

Akhir kab khatam hoga maut ke khauf mein jeene ka ye silsila;
Akhir Kab bekhauf benakab niklenge, aur apnon ke gale lagenge;
Kab school cinema bharenge aur haspataal khaali honge..

Holi aakar chali gayi, Diwali Christmas bhi guzar gayi;
2020 beet gaya aur 2021 bhi ..
Ab toh aalam ye hai ki dinon ki ginti ka hisaab bhi na raha …

Ye kaisa vakt tha jo lamba hi hue jaata tha ..
Ye kaisi maayusi ki khamoshi thii jo geheri hi hoti jaati thii…
Ye kaisi biimaari thii jo faiilti hi jaati thii ..

Par ab na maayusi mein jeene ki himmat bachii, aur na apnon ke khone ki ..
Na gharon ko makaanon mein tabdeel hote dekhne ki, na ummeedein ke tootne ki ..

Kaash 2022 bhi yuun hi na beet jaaye;
Kaash ek baar fir sab pehle jaisa ho jaaye ..

Kyunki kisssi ne na socha tha, duniya mein Kabhi aisa vakt bhi aayega …
kisssi ne na socha tha, duniya mein Kabhi aisa vakt bhi aayega …